Thursday, May 31, 2018

Tere hatho ki ungli pakad kar.....
Tujhe apni baho me bhr kar.........
Pyar karna hai.

Tujhe libas ki tarah odh kar.....
Teri saanso ko saanso se jod kar......
 Pyar karna hai.

Tere pairo ki ore se......
Teri aankhon ke chhor tak........
Pyar karna hai

Tera mujhse chatak jaane se......
 Tera mujhse lipat jaane tak.....
Pyar karna hai

Tere intezaar karne se........
Meri Saanse ruk jaane tak.....
Pyar karna hai.

Milayi hai raahe takdir ne ........
 Ab tujhe in haatho ki lakiro me karna hai....!

Rahi.......Traveller of love!


Teri raaton se bhichar kar, teri raaton ka ho jagunga.

 teri baaton se bichar kar ,teri baaton me khojaunga.

Yakin hai apni mohbt par, ki mai apni manjil ko  haasil kar jaunga


Tere lamho me simat  kar , sadiya bita dunga

Teri didar ki tammna me , dard ko bhula dunga.

Yakin hai apni mohabt par , ki mai ye saare  fasale mita dunga.


Teri raaho se bichar kar , raahe bana lunga.

tere wado par ji kar ,  wado ko nibha lunga.

 Yakin hai apni mohbt par ,ki mai apni mohbt ko paalunga.

Rahi....... Traveller of love
Aaj ki raat fir lambi hogi

Dhadkane hogi tej,ankhen fir namkin hogi

Fir honge kai sawal khud se,aur khayal me tu hoga

Kya yu hi tha wo har pal ,ya fir ab yuhi ye har pal hoga.

par jaisa bhi ho wo kal,tera ahsas har pal hoga.

Aaj fir jaagengi ye ankhen , aur fir honge sawal khud se,aur khayal me tu hoga.

Dekhta tha  jo khawab mai kal jisme tu tha, wo khawab bin tere kaisa hoga.

Pa bhi lu us khawab ko to kya sukun mujhko hasil hoga

Aaj fir jee ke marna hoga, aaj fir is raat ko tera karna hoga

Ab sans lu , hansu ya rou ,paau ya khou, har lamhe ,har ahsas,har khwahis ,har fariyad me

shamil tu hoga


Rahi..... Traveller of love

Monday, May 28, 2018

Baho me aaye to....
 Ho jaye bs mera....
Tere sang hi raate ho....
 Sang tere hi ho savera...
Bas isi lamhe ka mai intezar karta hu....!

Badhau jo hath to.....
 Thame tu hath mera.....
Chalu kuch kadam to.....
 Nibhaye tu sath mera.....
Bas isi lamhe ka mai intezar karta hu.....!

Bitau har pal , baatu har
 Gam tera....
Thamu teri baaho me ,
Rahu har janam tera....

Bas isi lamhe ka mai intezar karta hu...!
"Bas itna hi tujhse mai pyar karta hu....<3"

Rahi.... Traveller of love